Saturday 6 August 2016

Who is Iblees ?

*Iblees Kya Tha*

Questions :-
"Iblees ki paidaish kis tarah se hui?

Answer :-
*Allah (jjh)* ne (Alame Sijjeen) mai “Bhedhya” aur “Saanp” ki Shakal mai 2 Surat Paida Farmai…
Woh dono aapas mai mile aur *Allah (jjh)* ne unse "Iblees" ko paida Farmaya.

Note :- Alam-e SIjjeen” usko kahte hai jaha Tamam Kafiron ki Roohen Qaid hoti hain,
Aur ye Zameen ke Neeche hai.

Questions :-
Iblees ke “BAAP” aur “MAA” ka Naam kya hai?

Answer :-
Iblees ke “Baap ka naam “Khablees” hai…
Jiski Shakal “Saanp” ki jaisi thi…
Aur MAA ka Naam“Nablees” hai,
Jiski Shakal “Bhedye ki Jaisi hai.

{Ma’arij-Un-Nubuwwa-Jild-01-Safa No-15}

Questions :-
Iblees” jab Jannat” mai tha us waqt uska kya naam tha?

Answer :-
Hazrat Ibne Abbas (ra) ne Farmaya:-

Uska pahla Naam “AZAZEEL” tha…

Sadi kahte hain ke us ka naam “AL HARIS” tha…

Aur Khitabi ne Bayan kiya hai ke uska Naam “FATRA” tha.

{Al Ittiqan Fee Uloomul Quran-Jild -02 Safa No 181}

Questions :-
Iblees” ka naam Iblees kyun huwa?

Answer :-
*Allah (jjh)* ki khullam khulla Naa Farmani,
Aur *Hazrat Aadam (as)* se Bugz ki wajah se
Woh *KHUDA (jjh)* ki har Nemat se Mayoos kar diya gaya…

Ya woh NAIKI aur BADI ko Band Gaan *Khuda (jjh)* ke liye Khalat Malat kardeta hai,
Isliye Iblees Naam se Mashoor ho gaya.

{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa No-310}

Questions :-
Iblees kitne Saal tak Jannat ka Khazanchi raha?

Answer :-
Hazrat Ka’ab Ahbar ne Farmaya :-

Iblees” (40,000) Chalis Hazaar Saal tak “Jannat” ka Khazanchi raha.

{Savi-Jild-01-Safa No-22}

Questions :-
Iblees” ne Arsh A’azam ka Tawaaf kitne Saal tak kiya?

Answer :-
Iblees ne Arsh A’azam” ka Tawaaf (14,000) Chohda Hazaar Saal tak kiya.

{Savi-Jild-01-Safa No-50}

Questions :-
Iblees” kitne Saal tak Farishto ka Sardar raha?

Answer :-
Iblees” (80,000) Assi Hazaar Saal tak Farishto ke sardaar raha..

Jisme se (20,000) bees hazaar Saal tak Farishto ko Wa’az O Naseehat karta raha…

(30,000) tees hazaar Saal tak Malaika Karobeen” ka Sardar raha…

Aur (1000) ek hazaar Saal tak Malaika” Roohaneen ka Sardar raha.

{Jamal-Jild-01-Safa No-50}

Questions :-
Iblees” kis “Aasman” mai kis Naam se pukara jaata tha?

Answer :-
Hazarat Ka’ab Ahbar se Marwi hai ke “Iblees” ko
(1st) pahle Aasman” par “AABID” ke Naam se Pukara jata tha…

(2nd) doosre Asman par “Zahid” pukara jaata tha…

(3rd) Teesre Aasman par “ARIF”

(4rth) Chauthe Aasman par “WALI”

(5th) Panchve Aasman par “TAQI”

(6th) Chhate Aasman par “KHAZIN”

(7th) Satve Aasman par “AZAZEEL” ke Naamse pukara jata tha.

{Jamal-Jild-01-Safa No-50}

Questions :-
*Allah (jjh)* ki nafarmani k baad Iblees par Sabse pahle Laanat kisne ki?

Answer :-
Iblees” par Sabse pahle La’nat *Hazrat Jibreel (as)* ne ki…

Phir *Hazrat Mikaeil (as)* ne Iblees par lanat ki ...

Phir *Hazarat Israfeel (as)* ne Iblees par lanat ki ...

Phir *Hazrat Izrail (as)* ne Iblees par lanat ki.

{Ma’arij-Un-Nubuwwah-Jild-01-Safa No-39}

*Iblees Kya Tha Aur Ek Taqabbur O Nafarmani Ne Ise Kya Se Kya Bana Diya*







Iltemaas E Dua Rais Naqvi and Minhal Naqvi

4 comments:

  1. https://web.facebook.com/problemsgoodbye/photos/pcb.658762367788562/658762047788594/?type=3&theater ابلیس کیا ہے؟

    ReplyDelete
  2. Thanx for information

    ReplyDelete